|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
faisle ki ghadi hai
faisle ki ghadi haiya shaayad nahin tumko ye pata nahin faasle zaroor tai kar lena
faisla gar lena ho to hausla rakhna chaahe uske baad dil pe koi pathar rakh lena
hayaat e shareek hone ka alag nasha hai
kuch ehsaas tum phir bhi palkon ke saath baandh lena
aye dost ye waqt bhi guzarega sahar phir se hogi is ghadi mein tum phir uski yaad ka daaman thaam lena
wo bhi tadapta hoga kuch chubhan usko bhi hogi
is dard ke ehsaas ko bhi saath hee baant lena
zindagi ke aayaam kayi aur bhi hain un lamhon ko bhi kabhi fursat se dhoondh lena
dost milenge kayi tumko manzilen aur bhi aayengi kuch pal mere sahaare chalna
kuch meri dua bhi le lena
thoda samajh lena thoda samjha dena kuch dard pee lena kuch gairon se baant lena
dost ban ke milte hain kayi kabhi mujhko aazma lena khuda ka ghar hai ye inaayat hai dosti ko pehchaan lena
kehte hain log ki dard ki dawa bhi wahi deta hai mere kandhe par kabhi do aansoo baha lena
kuch marham wo dega koi nayi muskaan bhi dekha is hayaat ke nazaare kayi thoda tum muskura lena
faisle ki ghadi hai dost faisla to aasaan nahin zindagi aasaan ho teri aisi koshish kar lena
---zauq
p.s. for a friend who is going through a tough phase recently.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|